Hasrat NaTAmaam
Ruk jao mujhay kuch kehna hay
Tumhein pyar bhi thora dena hay
Phir apna rasta Chalna hay
Jis rastey pe Chaaya bhi nahin
Aur tum bhi nahin
Bas yaad tumhari saath rahey
Yun jaise dil pe haath rahey
Aur
Kuch dard ka bhi ehsaas rahey
Ruk jaoo yeh Tohfa lena hay
Bas pal do pal tum paas raho
Phir beyshak Door chaley jana
Phir laut k bhi tum na anaa
Bas yaad Amar ho janey do
Ik lumbi umar judai ki
Iss saath se pehley kaati hay
Iss pyar k baad guzarein gey
Bas iss pal merey saath raho
Yun jaise dil pe haath rahey
Aur yeh pal kaash tehar jayein !!!