Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN "FaaKhta"

Re: Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN "FaaKhta"

MOTAY!

:hayaa:

mujhay thandaa paani pilaao :crying:

**
ThanDa paanii to fil-Haal moyassar nahiiN…huzoor-e-waalaa aapkaa agar matlab aab-e-Khunk se hai to abhi pesh karta huN…

…amaaN o miyaan Basheera, saahib ke liye ek glaas aab-e-Khunk laaiyegaa :cb:**

Re: Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN “FaaKhta”

yar itni sari urdu paRh kay bachpan yaad a gaya :frowning:

Mir Taqi mir, Khwaja Haider Ali Aatish, Momin Khan Momin
subb kay kalam, danday maar maar kay yaad karwaiey thaay abba mian nay :crying:

Nice
And I am JB - nice to meet you :)

Re: Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN "FaaKhta"

:K337:

to phair kia main bhi aap ki gardon per chrui phairny ki tyari karoon, fakhta ko zabah karny kah wasty,

Re: Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN “FaaKhta”

fakhta :cadet:

**ji haaN:

yaad e maazii 'azaab hai, yaa Rab!
chheen le mujh se Haafiza meraa

magar phir bhii:

haN, dikhaa de, ai tasavvur! phir vo subH o shaam tu
dauR peechhe kii taraf, ai gardish-e-aiyaam tu!**

**
Khud takleef na kareN…kaneez hogii koii aapkii…usse kahiye k qaazii bulvaa kar mujhe Halaal kar deN :wink: :cb: **

Re: Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN "FaaKhta"

ahem

Re: Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN "FaaKhta"

mery hoty qazi ki koi zaroorat nahin

GS ka darbar bhi apna hai , kazi bhi main khud churi bhi main khud chaloon kiun kah hath sy qurbani karny ka mouqah main zaiah nahin kar sakti

bus fakhta ki fikar hai kahin kan kata nah ho , ya phir furr sy urah nah jay

**
noqs to mujh meN ek nahiiN anek haiN :slight_smile: mashaa Allah, 'aql-e-saleem paayii hai…zibaH hone se bachne ke liye kaan to nahiiN, haaN albatta, naak zaroor kaTvaa li hai :wink: :rotfl:**

Re: Hashmat Usmani NOW Khalil KhaN “FaaKhta”

:hmmm: