HASEENO KO ATAY HAIN KIYA KIYA...

Salam Dear Friends:-
buhat pehle yeh gana buhat mashoor howa tah or aaj kal bhi ppl isay suntay hai gatay hain. kiya app ppl ne is gane ke alfaaz par ghor kiya hai? zara mulahaza farmain;

'Haseeno ko atey hain kiya kiya bahane
khuda bhi na jane to hum kaise janeh…

Asal baat yeh hai ke is gane ke dosary bool mein hum khud yeh kah rahe hai ke 'khuda bhi na jane to… jabke khuda har baat se bakhabar hai.
Azizum sathiyo! zindagi aik bar milti hai or app is ko jaise chahain enjoy kar sactain hai magar aise gane mat gaiy jis mein hum main ‘munafqat’ pedah ho. mehaz to yeh aik gana hai magar kiya yeh kehna baja hai ke khuda bhi nahi janta? khud hi batain app ppl? ho sacta hai ke lekh kar baat ko ziyada acchay tareeqay se waziah na kar sakka. kher! maqsad app ko bakhabar karna tah kar diya age app sathiyaon ke marzi. parosi indai kehta hai ke pakistan ka bacha bacha is gane ko garah hai woh apne maqsad mein kamiyab ho gay…
faqat aik sathi
K@miK@ze

I agree with the objection of miswording in songs when talking of god allah

ek but banaon ga tera aur pooja karon ga

khuda bhi jab kabhi dekhta hoga mere mehboob ko kise ne banaya sochta hog

Pathar ke sanam tujhe maine khuda mana

& many more some by muslims like Sahir ludhyanvi,mujrooh &akhtar ja nisar javed