Jo teray naam ke harfooN ko dekhta hooN kabhi Ajeeb lazate Gham ka shikaar hota hooN MaiN jaanta hi naheeN kiuN hay meri Ye halat Issi talaasho Tajassus maiN khoya rahta hooN Suna hay loag jissay sab se pyara rakhtay haiN Har aik Naqsh maiN usko Tarashtay haiN wo
**Wo maahtaab ko chehra-e-Yaar kehtay haiN ** Har ikk kali maiN labe yaar dekhtay haiN wo Tou kia waja hay ke maiN beqarar rehat hooN Jo teray naam ke harfooN ko dekhta hooN kabhi Khirad ne dil se kai baar ye shikayat ki Suni kabhi na meri baat aye dile nadaaN Ye kia ke aaj Khirad ne kaha tou jalta hay Dile nadaaN bhi kehta hay Jhulasta hooN maiN Yahi haroof tou mujh ko Raqeeb lagtay haiN yahi mazaaq mera har ghaRi uRatay haiN Mera tou koi bhi taaluq na ban saka Tujh se UnhaiN maqam hay Hasil wo teray apnay haiN
**Issi liye kabhi shayad jo Dekhta hooN unhaiN ** Ajeeb Lazate Gham ka Shikaar hota hooN…! (Golden Scorpion)
Amal… Yaar Pooray teen maheeenay baad Nazil hui hay Hum tou aap jesay Rawani ke saath naheeN likh saktay na… Buhut Ahista Ahista amad hoti hay…
Pasandeedgi ka Shukria…
AsSweetAs… Tanks to u as well
Lamhay Dear… Tumhari Yaddasht ko Theek karnay ke liye… Hakeem Jaleenos se kushta lena paRayga… Remember… Mera naam Rustam naheN hay