bus isi umeed par paish e fana khamosh hain
ik jahan tameer ho ga sab fana honay kay baad
buhat aansu hain ankho-n mai-n buhat se dagh hain dil main
na b sawan ki rut aaey na ab fasl-e bahar aaey
Re: Harf of the week .. B.A.Y
***baRey mUztarib Meray Raastey Teray Baad Bhii
Barey pUrr SakOon hAin Meray Qadam Teray Baad Bhi
Teray Saath Bhii Meri Har KhUshii Teri mUntazir
Teri mUntazir Meri Chasm e Gham Teray Baad Bhii
Bai kasee nay bezubaani ko zubaaN kia baKHSH dee
Jo na keh saktay thay aSHkoN say ada honay lagay
Re: Harf of the week .. B.A.Y
bujhi bhuji si hay kion chaand ki ziya nasir.............?
kahaan chali hay ye kaasaa othhaay shaam-e-firaaq
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Bara Hai Dard Ka Rishta Ye Dil Ghareeb Sahi
Tumharay Naam Pe Ayen Ge Ghum'Gusaar Chalay
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Bachaye Rakhna Mujhe Waqt Ki Hawa'on Se
Ke Musht-e-Khaak Hoon Dekho Bikher Bhi Sakta Hoon
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Bicchar Ke Mujh Se Kabhi Tunay Ye Bhi Socha Hai
Adhoora Chaand Bhi Kitna Udaas Lagta Hai
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Barf Ho Jata Hai Sadyo'n Ka Lahu
Aik Thehra Hua Lamha Dekho
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Barham Hua Tha Meri Kisi Baat Per Koi
Wo Haadsa He Wajh-e-Shanasai Ban Gaya
Bandagi main ghatt kay reh jaati hay ik joo-e-kamm aab
aur aazaadi main behr-e-bay karaan hay Zindagi
Baraaheemii nazar paeda magar mushkil sey hotii hay
Hawis chup chup k seenoN mein bana leti hain tasveerain
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Buht Chaha magr koi bi wo Faslay na Samait saka,
Kay Apni Anna kay Gird Dayire bi Ajeeb thay
Bohot mushkil zamanoN maiN bhi hum ehl-e-mohobbat
Wafa per ishq ki bunyaad rakhna chahtay haiN
Kaheen aisa na ho harf-e-dua mafhoom kho day
Dua ko soorat-e-farhaad rakhna chahtay haiN
BiChar Kar tUjh Sey Ajeeb WehshatOn Ney Ghair Liya
Udaas Rehta hAi Ab Yeh Dil JangalOn Ki Tarah
Bohot ronaq thi un k dam say shehr-e-jaaN maiN
Wohi ronaq hum un k baad rakhna chahtay haiN
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Batao Dil Ki Baazi Main, Bhala Kia Baat Gehri Thi
Kaha Yuun To Sabhi Kuch Theek Tha, Per Maat Gehri Thi
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Be'Maqsad Sab Log Musalsal Boltay Rehtay Hain
Dekho Sheher Main Sannatay Ki Dehshat Kitni Hai
Re: Harf of the week .. B.A.Y
be niyaazi had say guzree banda parvar kab talak
ham kahengy haal-e-dil aur aap farmaaengy kiyaa
shaied kay dil kay zakham ka tanka udhar gya
*
Re: Harf of the week .. B.A.Y
Baat Kerni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jesi Abb Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi