heard this fantastic ghazal/song by sajjad ali a fortnight ago and cannot get it out of my head since then. Poet is Aftab Muztar
Sahil pe khare ho tumhayn kya ghum, chalay jana
Main doob raha hoon, abhi dooba tu nahi hoon
Aye wada faramosh mayn tujhsa tu nahi hoon
Har Zulm tera yaad hai bhoola tu nahi hoon
Aye wada faramoosh main tujhsa tu nahi hoon
Chup chap sahi, maslihatan waqt k hathon
Majboor sahi, waqt se haara tu nahi hoon
Aye wada faramoosh main tujhsa tu nahi hoon
Her Zulam tera yaad hai bhoola tu nahi hoon
Muztar kyon mujhay dekhta rehta hai zamana
Deewana sahi un k tamasha tu nahi hoon
Aye wada faramoosh main tujhsa tu nahi hoon
Har Zulm tera yaad hai bhoola tu nahi hoon
Aye wada faramoosh main tujhsa tu nahi hoon
Have a listen. Sajjad Ali is a legend! ![]()