A beautiful Ghazal by Ahmed Faraz !
Har tamashaai fakat saahil se manzar dekhta
Koun dariya ko ultaata koun gouhar dekhta
Wo to duniya ko meri deewanigi khush aagai
Tere haathon mein warna pehla pathhar dekhta
Aankh mein aansoo jaday thay par sada tujhko na di
Is tavaqo par ke shaayad tu palat kar dekhta
Meri kismat ki lakeerain mere haathon mein na thin
Tere maathay par koi mera mukaddar dekhta
Zindagi phaili huwi thi shaam-e-hijraan ki tarhan
Kisko itna housla tha koun jeekar dekhta
Doobne waala tha aur saahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mouhalat thi mein kisko aankh bhar ke dekhta
Tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha hai “Faraz”
Aankh gar hoti to katray mein samandar dekhta