Har simt hai andhera kahan jao gay doston?

Har simit hai andhera kahan jao gay doston ?
Main hoon bhout Akela kahan jao gay Doston ?

Ankhoon kay paar ab koi ansoo nahi bacha
Tehra hoa hai darya kahan jao gay Doston?

Dil say buss aik baat ka jata nahi malal
Uss nay mujhe na samja kahan jaon Doston ?

Uss ko tu mil gai hain zamanay ki rahatin
Mujh ko ghum nay ghera, kahan jaon Doston ?

Janay kahan gay woh teray karab kay zamanay
Ghar main nahi ujala kahan jaon Doston ?

Jatay hoay woh meri har aik aas lay gaya
Har khuwab mera tota kahan jaon Doston ?

Aik waqt tha fasl-e-baharan thi humnasheen
Ab durr hai khizan ka kahan jaon Doston ?

Zakam-e-Judai ab tak meri roh main hai taza
Roshan hai AIk sitara, kahan jaon Doston ?

Ab mit chuki hai hai jhooti tasalli ki rasam bhi
Koi nahi sahara , kahan jaon DosTon ?

:k:

:k:

Wah :k:

:)

Re: Har simt hai andhera kahan jao gay doston?

Bohat umda...very good
thanks for sharing