Har Roz Imtehaan Se Guzara To Mein Gaya...

Har Roz Imtehaan Se Guzara To Mein Gaya
Tera To Kuch Gaya Nahi Mara To Mein Gaya

Jab Tak Mein Teray Pass Tha Bus Teray Pass Tha
Tu Ne Mujhe Zameen Pay Utara To Mein Gaya

Shal Ungliyon Se Thaam Rakha Hai Chataan Ko
Chhoota Jo Hath Se Yeh Kinara To Mein Gaya

Apni Anaa Ki Aahani Zanjeer Torr Kar
Dushman Ne Bhi Madad Ko Pukara To Mein Gaya

Yeh Taaq Yeh Charaagh Meray Kaam K Nahi
Aaya Nazar Nahi Woh Dobara To Mein Gaya

Teri Shikast Asal Mein Meri Shikast Hai
Tu Mujh Se Aik Baar Bhi Hara To Mein Gaya