**Zindagi ki kitab ke
Kuch sunhere panno par
Aaj bhi likha hai
**Surkh syahi se sirf tera naam
**
**
Jab bhi zindagi ki kitab
Kholti hun aur panne palat-ti hun
Har panne par likhi hai bas
**Humare pyaar ki adhuri daastaan
**
**
Tanhai me baith kar jab bhi**
Aankhen band karti hun
**Tumhari hi tasveer in aankhon me **
Bin kahe utar aati hai
Socha to ye tha ki
Tumhare bina main ek pal bhi
Zinda nahi reh paongi
Aur hua bhi ye hi
Zindagi me roz pal-pal marti hun main
Aur aaj jaane kyon
**Tanhai se itna darti hun main
**
**
Har raat in aankhon me neend**
Ki jagah utar aate hain aansu
Aur har subah ek nayi udaasi
Tumhe khone ki….!!!