WiseGuy
1
Har pal DHiyaan maiN basnay walay loG afsanay ho jatay haiN
AAnKHaiN booRhi ho jati haiN KHuwaab puranay ho jatay haiN
Saari baat talluq wali jazboN kee saCHCHaai tak hai
Mayl diloN maiN AA jaye tu GHar weeranay ho jatay haiN
Manzar manzar KHil uTHti hai parahain kee Qos e QazaaH
Mausim teray hans paRnay say aur sohanay ho jatay haiN
Mausim e iSHq kee AAhat say hee har ek CHeez badal jati hai
RaataiN pagal ker deti haiN din deewanay ho jatay haiN
Duniya kay is SHor nay Amjad kia kia hum say CHeen liya hai
KHud say baat keay BHi ab tu kaee zamanay ho jatay haiN
WiseGuy
3
Re: Har pal DHiyaan maiN basnay walay loG afsanay ho jatay haiN
Thanks. :)
Ahmi
4
Re: Har pal DHiyaan maiN basnay walay loG afsanay ho jatay haiN
Nice sharing guy..
system
5
Re: Har pal DHiyaan maiN basnay walay loG afsanay ho jatay haiN
Great sharing.
WiseGuy
6
Re: Har pal DHiyaan maiN basnay walay loG afsanay ho jatay haiN
Thanks Ahmi and "mad"
Koyal
7
Re: Har pal DHiyaan maiN basnay walay loG afsanay ho jatay haiN
^ afsanay tu hona huwa ap tu kabhi kher khabar nahi rakhtey :p nice 1 :)
WiseGuy
8
Re: Har pal DHiyaan maiN basnay walay loG afsanay ho jatay haiN
^ Shukriya :)