Har lamha zulmat ki khudaai ka waqt hai

**Har lamha zulmat ki khudaai ka waqt hai
Shayid kisi ki chehra-numaai ka waqt hai

Kehti hai saahilon se ye jaate sammey ki dhoop
Hushyar! nadiyon ki charhai ka waqt hai

Hoti hai shaam, ankh se ansu rawaa’n hue
Ye waqt qaidiyon ki rihaai ka waqt hai

Koi bhi waqt ho, kabhi hota nahi juda
Kitna azeez us ki judaai ka waqt hai

Dil ne kaha ke shaam shabb-e-wasl se na bhaag
Ab pak chuki hai fasal, katai ka waqt hai

Mene kaha ke dekho ye main, ye hawa, ye raat
Us ne kaha ke meri parhai ka waqt hai.**

Ahmed Mushtaq

Re: Har lamha zulmat ki khudaai ka waqt hai

Mene kaha ke dekho ye main, ye hawa, ye raat
Us ne kaha ke meri parhai ka waqt hai. :aj:

Re: Har lamha zulmat ki khudaai ka waqt hai

Boht he khoob,

Re: Har lamha zulmat ki khudaai ka waqt hai

bohat khooooob

Re: Har lamha zulmat ki khudaai ka waqt hai

good one