ghera hua hai mujh ko khwabon ne har gharri
or ruh tak utre hue azabon ne har gharri
ye ankhain to wo tawan na bhar sakin
jakrra hai jin ko be-saropa khwabon ne her gharri
dil kay chaman main phool khila phir udaas sa
jis ko pinapne na dia gardabon ne her gharri
qatra qatra ghul gai meri hasti-e-fana
dhanp di ik or qabar sookhe gulabon ne har gharri
ab nahi kuch or kehna mujh ko waqt-e-meer se
sitara si meri zaat thehri or tum mahtabon se her gharri…