~*~Har Ek Zakhm ka Cehra Gulaab jesa tha~*~

Har Ek Zakhm ka Cehra Gulaab jesa tha
Mager yea jagta manzer bhi khawab jesa tha

yea talkh talkh saa lehja, yea tez tez say baat
mizaj-e-Yaar ka Aalam sharab jesay hay

mera sukhan bhi chaman der chaman safaq ke phawaar
tera badan bhi mehaktay gulaab jesa hay

bada taweel, nahayet hasee_n, bohat mubhim
mera sawaal teray jawaab jesa hay

tou zindage k haqa’ek ke teh main youn naa uter
k iss zindage ka baha’o Chanab jesa hay

Teri nazer he nahi harf Ashna werna
Har Ek chehra yahan Kitaab jesa hay

Chamak Uthay tou samander, Bhujay tou rait ke lehar
Meray khayal ka dariya saraab jesa hay

Teray kareeb bhi reh kar naa paa sakoon tujh ko
Teray khayal ka jalwa Habaab jesa hay