~ Har ek ne bataaya ke woh tere leye bana hi nahee ~

*** Us ko chaaha tu bahut magar woh mila hi nahee Laakh kooshishain keen magar faasila mitta hi nahee

Us ko zamaanay ne majboor is qadar kar diya thaa
Ke meri kisi sada per woh thehra hi nahee

Khuda se jholi phaila phaila kar maanga thaa ussay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahee

Har ek se poocha sabab us ke na milne ka
Har ek ne bataaya ke woh tere leye bana hi nahee

Mein tamaam umer kooshishoon ke bawajood thak gaee
Aur woh ussay mil gaya jis ne ussay maanga hi nahee

Itni shiddat se chaaha thaa ussay aur woh kisi aur ka hogaya
Shaayad… Is jahaan mein wafa ka koi silla hi nahee…


Mein tamaam umer kooshishoon ke bawajood thak gaee
Aur woh ussay mil gaya jis ne ussay maanga hi nahee

zabardast arif G

Mein tamaam umer kooshishoon ke bawajood thak gaee
Aur woh ussay mil gaya jis ne ussay maanga hi nahee

Arif... Zabardast :)

Thanks you Kamal and GS ...

Zabardust arif bhai