har ek chehare ko zaKhmon ka aa_iinaa na kaho
ye zindagii to hai rahamat ise saza na kaho
na jaane kaun sii majaburiyon kaa qaidii ho
vo saath chhod gayaa hai to bevafa na kaho
tamaam shahar ne nezon pe kyuun uchhaalaa mujhe
ye ittefaaq thaa tum is ko haadasaa na kaho
ye aur baat ke dushman huaa hai aaj magar
vo meraa dost thaa kal tak use buraa na kaho
hamaare aib hamein ungaliyon pe ginvaao
hamaari piiTh ke peechhe hamein buraa na kaho
mai.n vaqiyaat kii zanjeer kaa nahin qaayal
mujhe bhii apane gunaahon kaa silsilaa na kaho
ye shahar vo hai jahaan raakshas bhi hai “Rahat”
har ek taraashe huye but ko devataa na kaho