ik vehem tha dil main shayad kabhi milo tum
Kuch dair ruk ke poocho beetay dinon ka mosam
awaz main ho larzish aankhoon main ik tajassus
mazi ka koi lamha shaayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shaayad kuch yaad aagaya ho
phir main tumhain btaaoon apni khushi ki baatain
har dukh chhupa ke dil main aasoodgi ki baatain
wo chand choudhween ka taroon bhari wo raatain
pyaar ka tassawwur aur bandagi ki baatain
woh roz roz marna aur zindagi ki baatain
tum dukh se muskurao aur dheeray se paas aao
sar ko jhuka ke apne chup chap laot jao
phir main bhi muskuraoon aur dil ke diye bujhaon
lehraoon apnay jee main ik talkh see haqeeqat
ik khowab zindagi ka haan umer bhar jo dekha
kabhi hosaka na pora yun hi reh gaya aadhora
Re: har dukh chhupa ke dil main, aasoodgi ki baatain
pyaar ka tassawwur aur bandagi ki baatain
woh roz roz marna aur zindagi ki baatain
tum dukh se muskurao aur dheeray se paas aao
sar ko jhuka ke apne chup chap laot jao