**har dard pehn lena har khawab main kho jana
kia apni tabiat hai har shakhs ka ho jana
ik sheher basa lena bichre huye logon ka
phir shab k andhere main dil thaam k kho jana
aana to bikhar jana har saans main mehak ban kar
jana to kaleje main kaante se chabho jana
jaate huye chup rehna inn bolti aankhon ka
khaamosh takallum ka aankhon ko bigho jana
har raat azaaim ka ik mehal bana lena
har subh iraadon ki dehleez par so jana**