P_G
1
***Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta.
GhaM-E-AshiQi Se Hatna Acha Nahi Lagta.
Khidki Me Mera Koi Intezar Nahi Karta Ab.
Tere Ghar Se Ab Guzarna Acha Nahi Lagta.
Rahon Me Teri Yaad Ke Jugnoo Hain Ja Baja.
Ab Saath Kisi Ke Chalna Acha Nahi Lagta.
Aye Jaan TuMhe Kab Tak Har Baar Manaun Main
Har Baat Pe Bigadna Acha Nahi Lagta.
Sono Kabhi Ankhoon Ko Kahe Deti Hain Yeh Bahut Kuch.
Har Baat Zubaan Se Kehna Acha Nahi Lagta.
Sawan Ki Ruto Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun.
Darakhton Se Ab Lipatna Acha Nahi Lagta.
Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai thokarain Kha Kar.
Haal-Dil Sabhi Se Kehna Acha Nahi Lagta.
Ab Kisi Nigah-E-ShoQ Ko Intezar Nahi Hai Mera.
Ab Yaad Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta.
Mai Janta Hun Wafa Ki Manzil Nahi Hai Koi.
Par Is Ab Rah Se Palatna Acha Nahi Lagta…***
KKF
2
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
nek Khayaalaat haiN magar aisaa hotaa nahiiN kiuN k yeh sab kahne kii baateN haiN , baatoN se kia hotaa hai! :(
P_G
3
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
baatoon say bohat kuch hota hay
KKF
4
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
baatoon say bohat kuch hota hay
baatoN ke jaal meN phaNsne waalaa aHmaq se ziyaada kuchh nahiiN...
guftaar kaa Ghaazii to banaa, kirdaar kaa Ghaazii ban na sakaa! :(
TLK
5
Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
Aray Baaton se bohut kuch hota hai werna shaa'ir yeah kyun kehta
Paani paani ker ga'ee mujh ko qalandar kee yea baat
P_G
6
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
acha hota hay ya bura hota hay behrhaal kuch na kuch to hota hai
yahaan sawal honay per hay ...
P_G
7
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
Aray Baaton se bohut kuch hota hai werna shaa'ir yeah kyun kehta
Paani paani ker ga'ee mujh ko qalandar kee yea baat
wah ..gud timmings*thumbsup*
KKF
8
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
Aray Baaton se bohut kuch hota hai werna shaa'ir yeah kyun kehta
Paani paani ker ga'ee mujh ko qalandar kee yea baat
qalandar kii baat na! aire Ghaire nattho Khaire 'ushshaaq kii nahiiN! shaa'ir to ma'shooqa ko harne ke liye gadhe ko bhii baap banaa leve hai lol :D
P_G
9
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
her Bat per kehtay ho k Tu kia hay
tumhee kaho yeh andaz-e- guftgu kia hay
KKF
10
Re: Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta
her Bat per kehtay ho k Tu kia hay
tumhee kaho yeh andaz-e- guftgu kia hay
**
rakhiyo, "Ghaalib!", mujhe iss talKh_navaa'ii se mu'aaf!
aaj kuchh dard mire dil men sivaa hotaa hai!**
yaa phir:
**
bak rahaa huN junuuN men kia kia kuchh
kuchh na samjhe Khudaa kare koii**
yeh to the chand jumla_haa-e-mu'tiraza! ab aamadam bar sar-e-matla magar ba-roz-e-digar! udhaar rahii tausee' o tauzeeH :)