Mila jawaab ke tasweer khana hai duniya
Shab-e-daraaz-e-adam ka fasana hai duniya
Hui hai rang-e-taghayyur sey jab namood uski
Wohi haseen hai haqeeqat hai zawaal jiski
Kaheen qareeb tha, yeh guftugo kamr suni
Falak pe aam hui, akhtar sehr ney suni
Sehr ney taarey sey sun kar sunai shabnam ko
Falak ki baat bata dee zameen ke mehram ko
Bhar aaye phool ke aanso payaam-e-shabnam sey
Kali ka nanna dil khoon hogaya gham sey
Chaman sey rota hua mausam-e-bahaar gaya
Shabaab seer ko aata tha, sogawaar gaya**