Gadha
1
**Haqeeqat-e-Hus'n**
Khudaa say hus’n nay ik roz yeh sawaal kiyaa
JahaaN maiN kiouN na mujhay tu nay laazawaal kiyaa?
Millaa jawaab kay tasveer khaanaa hay duniyaa
Shabb-e-daraaz ad’m kaa fassaanaa hay duniyaa
Huee hay rang-e-taghaiuur say jub namood iss kee
Wohi haseeN hay haqeeqat zawaal hay jiss kee
KahiN qareeb thaa, ye guftugu qamar nay sunee
Falak pay aamm huee, Akhtar-e-seh’r nay sunee
Seh’r nay taaray say sunn kar sunaaie shabnam ko
Falak kee baat bataa dee zameeN kay mehramm ko
Bhar aaye phool kay aansoo piyaam-e-shabnam say
kali ka nanhaa saa dil khoon ho gayaa ghamm say
Chaman say rotaa huaa Mosam-e-Bahaar gayaa
Shabaab sair ko aayaa thaa, sogwaar gayaa
–Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal
Azad
3
Shabaab sair ko aayaa thaa, sogwaar gayaa
yeh to aisa hi hay jaisay kisi nay aap ka kaan main hussan kahan to aap hanssnay lagay, phir haqeeqt e hussan ki tajalii say ronay lagay :D
Gadha
4
wohi tau:(
biyaan kardah tammaam khoobsurat cheezoun kaa zawaal dekh kar iss naz’m maiN ibrat pakRRo tum bhee:bummer:
Azad
5
waqeya yeh hai keh filwaqt humain zati toor par aap ke ronay ki khoshi hay 
Gadha
6
Sar ZameeN apni Qiyamat kee nifaaq aNgez hay
Wis'l kaisa? yaaN tau ik Qurb-e-Firaaq aNgez hay
Azad
7
[QUOTE]
*Originally posted by Gadha: *
Sar ZameeN apni Qiyamat kee nifaaq aNgez hay
Wis'l kaisa? yaaN tau ik Qurb-e-Firaaq aNgez hay
[/QUOTE]
Esa ki sawari yeh kalam tere karb ka izhar karay hay ;)
Gadha
8
Tu agar apni haqeeqat say khabardaar rahay
Na seeh roz rahay phir, naa seeh kaar rahay :~)
Azad
9
[QUOTE]
*Originally posted by Gadha: *
Tu agar apni haqeeqat say khabardaar rahay
Na seeh roz rahay phir, naa seeh kaar rahay :~)
[/QUOTE]
LOL
Esa ki sawari .. ziyada gehri batain na kia karain .. humain tayrna nahi ata :)
Gadha
10
Gar aap ko ma'aloom nahiN meri haqeeqat
Paida nahiN kuch iss maiN Qusoor-e-hama daani
Main khud bhee nahiN apni haqeeqat ka shanaasaa
Gehraa hay meray behr-e-khiyaalaat kaa paani
:~)
Azad
11
[QUOTE]
*Originally posted by Gadha: *
Gar aap ko ma'aloom nahiN meri haqeeqat
Paida nahiN kuch iss maiN Qusoor-e-hama daani
Main khud bhee nahiN apni haqeeqat ka shanaasaa
Gehraa hay meray behr-e-khiyaalaat kaa paani
:~)
[/QUOTE]
HA
Gadha
12
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
HA
[/QUOTE]
meray shair nahiN thay :~d