Re: Haq Mojood Sada Mojood
lol…wa’laikum tasleemaat MuwEEEEEEE! ![]()
plz don’t go there [taHreerii alqaab o aadaab] … kisii religious hastii ke liye uskaa solutations uske naam se das gunaa lambaa huaa kartaa thaa…jo umooman uskii qualifications yaa Khawaas huaa karte the lol…ek namoona:
aali janaab izzat maa aab moHtaram aaqaa e naamdaar janaab Yusuf Islam farzand-e-arjumand aali janaab izzat maa aab moHtaramii o mukarramii aali jaah janaab saiyed Qutbuddin daamaat baraakaatahu, sallamahuu tasleemaat…
yeh to kuchh bhii nahiiN hai…isse das gunaa baRe alqaab dekhe haiN maiN ne jo taqreeban ek paragraph huaa kartaa thaa lolz ![]()