Us des mein lgta hai adaalat nhi hoti,
Jis des mein insan ki hifazat nhi hoti,
Makhlooq-e-Khuda jab kisi mushkil mein phansi ho,
Sajday mein paray rehna ibadat nhi hoti,’
Yeh bat naii nasal ko samjhana paray gi,
K uryaan kabhi saqafat nhi hoti,
Sar ankhon per usko bitha letay hain aksar,
Jis k kisi waday mein sadaqat nhi hoti,
Her shakhs apny sar pay kafan baandh kr niklay,
Haq k liye laRna to baghawat nhi hoti,
Habib Jalib..