Hanste baste shehroon ki ek din ujarna hai

Maut ki haqeeqat aur
Zindagi ke sapnay ki
Behas gou puraani hai
Phir bhi ek kahaani hai
Aur kahaneyaan bhi tau
Wakt se ibaarat hain
Laakh rokna chahain
Wakt ko guzarna hai
Hanste baste shehroon ko
Ek din aakhir ujrana hai
Rahatain hawayain hain
Chahatain sadaayain hain
Kya kabhi hawayain bhi
Dastarass mein rehti hain
Kya kabhi sadayain bhi
Kuch pallat ke kehti hain
Pyar bin nahee rehna
Aur pya ka dukh bhi
Aanso’oun ke dareya ko
Aik din utarna hai
Khwahishoon ko marna hai
Wakt ko guzarna hai…

bahut khoob! thanks 4 sharing!

TajMahal aap ka shukriya tareef karne ka bhi aur thread visit karne ke leye bhi ...:)