Hansna Sehat Ke Liey Mufid Hai

QENCHI (Sisure)
Ek lady nay Doctor say phone par kaha::::::
Doctor sahab meray husband k galay (neck) main qenchi phans gai hai. please jaldi aajayn
Doctor bola::::::
bibi ghabranay ki koi baat nahen main abhi 5 minutes main aata hoon.
2 minutes baad lady nay doctor ko dobara phone kiya
Boli::::::::::::::::::::
Doctor sahab ab aap aanay ki takleef na karen. Mujhay doosri qenchi milgai hai

REHNUMAI
Ek saahab kuch ujlat main bhi thay or kuch unki car k break bhi kharab thay ,
Lihaza car ek ghar ki deewar tortay huy andar ja ghusi,
woh ghabra kar car say utray kuch samajh main nahen aaya k kiya kahen,
bokhlaahat main khatunay khana say mukhatib huy or bolay::::::::::::
Maaf kijiyga,“Mekaangar road” kidhar hai?
Khatunay khana haath k isharay say bolen:::::::
samnay bedroom main daakhil hokar bed k sarhaanay say baayn taraf mur jaaiyga,aagay Daining table aaygi, usk qareeb say daayn taraf mur jaayn, jab kitchen ki deewar tortay huy peechay niklengay to saamnay"Mekaangar road" hoga.

MASHKOOK
Ek police Inspector ki shadi thi,
woh sehra baandh kar doston k saathcar main jaraha tha,
peechay baaratyon ki bus aarahi thi,
Inspector bola::::::::
Yeh jo peechay bus aarahi hai, mashkook lagti hai, ghar say abhi tak hamara peecha kar rahi hai.

KUCH BHI NAHEEN
Ek bachcha jab pehlay din school say wapas aaya to Maa nay poocha:::::::::“Betay aaj tum nay kiya kiya seekha?”
“Kuch nahen”::::::::: bachchay nay saadgi say jawab diya ::::::::::: “kal phir jana parega.”

:rotfl: :biggrin: :dixsi:

:hehe:
nice ones…:k:…