**Hansna nahi aata mujhe, ye baat nahi hay
shaid tumhain undaza-e halaat nahi hay
ye kaise kahoo.n, un sey main waqif hi nahi hon
haan, door sey dekha hay, mulaqaat nahi hay
shikwe tu unhain mujh sey hamesha hi rahey hain
merey leye ye koi nai baat nahi hay
yoon un sey mulaqaat tu ho jaati hay aksar
bas silsila-e pusish-e halaat nahi hay
namoos-e mohabbat ka tahafuz hay bari baat
khud apna ziyaa.n, koi bari baat nahi hay
be-noor ujaloo.n ko seher kaise samajh loon
tum laakh kahe jajo k ab raat nahi hay
Iqbal, bura kehtey ho tum dil shikani ko
is door main ye baat, koi baat nahi hay**