Hansi chupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
yeh Ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya
Utha, tu jaa bhi chuka tha, ajeeb mehmaan tha
sadaein dey ke mujhey neend se jaga bhi gaya
ghazab hua jo andherey mein jal uthi bijli
badan kisi ka tilismaat kuch dikha bhi gaya
na aaya koi lab baam, shaam dhalney lagi
wufoor-e-shoq se aankhon mein khoon aa bhi gaya
hawa thi, gehri ghata thi, hina ki khushboo thi
yeh eik raat ka kissa lahoo rula bhi gaya
chalo Muneer chalein, ub yahan rahein bhi tu kia
woh sang dil tu yahan se kahin chala bhi gaya
Re: ~* Hansi Chupa Bhi Gaya Aur Nazar Mila bhi Gaya *~
:k:
btw kin tlismaat ki baat ho rhi hey…heheheh
thanks dilsay and chodry :-)
chodry, shaair se pooch lein..hum nahi jaantey :p
[QUOTE]
*Originally posted by &Passionate: *
thanks dilsay and chodry :-)
chodry, shaair se pooch lein..hum nahi jaantey :p
[/QUOTE]
I thought aap k akoi waqif ho gaa, aap pooch key batta dein..:D
Daagh
8
Re: ~* Hansi Chupa Bhi Gaya Aur Nazar Mila bhi Gaya *~
nice one passo :k:
Hansi chupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
yeh Ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya
wahhhh…kiaaaaaaa baat haiii..BOHAT KHOOBBB…:k: 
thanks nikami, ghazal and ummehaani 