Hans kar yeh Chandni ki Ridaa mujh pe daal do (Baqalam kHud)

[quote]
Originally posted by Nayab:
Do chaar lafz keh kar main khamosh ho ghay..
Woh muskurah keh bolhe bohot bolti ho tum...

[/quote]

aab iss ka jawaab maiN keya LIkhooN lollzzz
hahahaa wesse jaldi se kuch Post karein

**Shetaan ki aant say jo hota Muqaabla

Khul jaata raaz aap ki Zulf-e-daraaz ka **

KucH Raat Dhaley Dil meiN parcHaaiyaaN roti haiN,
Saaye meiN DarakHtoN ke TanhaaiyaaaN roti haiN

[This message has been edited by Tassneef (edited June 25, 2002).]

he he so sweet kaha aap neh

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif

kion aap bhi kohi sharmeela shair likh dehtay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

aik sweet shair arz karte hai ....

Pocha jo main ne uss se us ki kohi pasand
Hanste se uss ne mere naam leh liya..

lolzz bohaat kHoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

isske jawaab meiN apna hi aik sher arz karta hoon
**Shayaad mere Qatl ka ussne samaan kar liya hai
Keh Kaajal Aankh meiN aur Haath mein uske Hinaa bhi hai
**


Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat

[This message has been edited by Tassneef (edited June 25, 2002).]

Hmm he he bohot khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Achee suraat ko sawaarne ki zaroorat ki hai
Sadgee bhi to qiyamat ki adha hoti hai

Waah miyaaN tasneef kiya behtaren ghazal kahee hai.
kiya siyaaq o sabaaq hai. RawaaN dawaaN.

Kiya qawafee hain, Mushkil zameen hai aur qafiyon ka fuqdaan. lekin khoob nibhaya hai.

Har she'r baa maa'ni aur Khuubsurat hai.
Saji sajaee murassa ghazal.

baqol e chacha :

AATAY HAIN GHAIB SE YEAH MAZAMEEn KHAYAL MAIN
GHALIB SAREER E KHAMA NAWA E SAROSH HAI.

ALLAH KARAY ZOR E QALAM AUR ZIYADA.

MAZEED KA INTEZAR HAI.


huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya

JO HAI JABEEn PAR SANDAL KA TEEKA TO PAAS ABRUU K KHAAL BHI HAI

SEPEHR E KHOOBI PE BADR BHI HAI SUHAIL BHI HAI HILAAL BHI HAI

.
(^_^)


huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya

Shukriaa mirza sahib

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

aur duaaon mein hamesha yaad raskhyie gaa jazakallah


Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat

**saadagi haaye Tamannaa yaani
phir wo Nay-e-Rang-e-nNazar yaad aayaa
**


Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat

[This message has been edited by Tassneef (edited June 26, 2002).]

[quote]
Originally posted by Tassneef:
** *saadagi haaye Tamannaa yaani
phir wo Nay-e-Rang-e-nNazar yaad aayaa
*

**
[/quote]

Chehre ka nissf hissah zeer-e-nikaab rakh kar
Karte hai husn walhe deedaar me milawaat

[quote]
Originally posted by Nayab:
** Chehre ka nissf hissah zeer-e-nikaab rakh kar
Karte hai husn walhe deedaar me milawaat**
[/quote]

*Husn Khud pardaadaar hai kyaa kahiye
ye hamaari nazar hai kyaa kahiye *


Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat

Ayeena dekhte hai woh chup chup ke baar baar
Zulfein bigaard ke kabhi zulfein sanwaar keh

bohaaaaat acheyyyyy

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

))mujehy Obaid-ulah-Aleem sahib (marhooM) yaad aagyae

**
Zarf-e-Aainaa kahaN aur tera Husn kahaN
ham tere Chehre se Aainaa sanwara karte

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**

[This message has been edited by Tassneef (edited June 26, 2002).]

Aap ko main neh nigahoon main basha rakha hai
Aina chordhe aine main kia rakha hai …

[quote]
Originally posted by Nayab:
** Aap ko main neh nigahoon main basha rakha hai
Aina chordhe aine main kia rakha hai ...**
[/quote]

Tuu apni Awaaz meiN gumm hai maiN apni awaaz meiN chupp
DonoN beech kharhi hai Duniyaa Aina-e-alfaaz meiN chupp

Dunyia se yahaan muraad haamri Bhateeji Vhorni hi lelo lollzzzz hahahahaa


Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** Tuu apni Awaaz meiN gumm hai maiN apni awaaz meiN chupp
DonoN beech kharhi hai Duniyaa Aina-e-alfaaz meiN chupp

Dunyia se yahaan muraad haamri Bhateeji Vhorni hi lelo lollzzzz hahahahaa

Kion us bicharhee ko tang karte hai ....

[quote]
Originally posted by Nayab:
**
[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** Tuu apni Awaaz meiN gumm hai maiN apni awaaz meiN chupp
DonoN beech kharhi hai Duniyaa Aina-e-alfaaz meiN chupp

Dunyia se yahaan muraad haamri Bhateeji Vhorni hi lelo lollzzzz hahahahaa

Kion us bicharhee ko tang karte hai ....

**
[/quote]

Lolzzz
**
Meri acHaai to sabko acHi lagti hai
Uske piyar ka markaz mere Naqs meiN hai**


Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat

Kuch is adha se milte ho mehrbaan kabhi kabhi
Kantein bhi lagti hai kaliyan kabhi kabhï
Kuch yo lagha ke husn sitaroo main ghirr geaa
Dekhi jo unki mang me afshaan kabhi kabhi...

[quote]
Originally posted by Nayab:
Kuch is adha se milte ho mehrbaan kabhi kabhi
Kantein bhi lagti hai kaliyan kabhi kabhï
Kuch yo lagha ke husn sitaroo main ghirr geaa
Dekhi jo unki mang me afshaan kabhi kabhi...

[/quote]

meri maang meiN Afshaan ,lollzz(just kidding)!!

Arz hai :-

**
Kalli Kalli ko GulistaaN kiye huwe Wo aaiNge
Wo aaiNge Kalli Kalli ko GulistaaN kiye huwe

Sukoon-e-Dil ki RaahatoN ko un se maaNg looN
Sukoon-e-Dil ki raahatoN ko bekaraaN kiye huwe**


Waaizo Aatish-e-DauzakH se JahaN ko tumne
Yeh Draiyaa hai keh kHud ban gaye Darr ki Soorat

heheh Kicking fwd

Bcs of Note:- baaz Dost jaante nahIn haiN keh Shaakir kon hai yeh baat mujhey iss lyie batani parhi keh baazoN kaa khaiyaal hai keh Shaakir aur tassneef do alag alag hastiaaN haiN lekin aik martaba phir se un doston ke lyie jinke PM aaye aur wo Confusion ka shuikaar haiN ..unka confusion door karne ke lyie maiN aik martaba phir note deta jaaoun

keh

**Tassneef<---------->Shaakir dono hi mere Takhalluss hain…chooN keh Shakir Takhaluss main har jagah istemaal nahiN kar paata Behr aur Wazan ki PaabandioN ki wajah se iss liye mujh “TASSNEEF” hi istemaal akrna parhta hai aur ab jahaN jahaN bhi main ne Shaakir istemaal kyia hain un Asha’aar ki Tajneed kar rahaa hooN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Jin Ehbaab ko iss bat kilm nahiN hai wo note farmaa leiN shukriaa nawaazish hogi..magar Mustaqbil mein Bhi Shaakir Sher ki Behr aur Wazan ke Hisaab se Istemaal akrta rahooNGaa lehaaza

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Shakir bhi meraa TakHaluss hai aur Tassneef bhi::BAAZ Jag’hoN per to maiN ne Munawar likhne se bhi par’hez nahIn kyiaa…!**

Ghalib nahiN hooN, Meer-o-Yagaana nahiN hooN maiN
“Shakir” apni dhun meiN likhte rehnaa acHaa lagtaa hai

jazakkallah

ALLAH HAFIZ


**Wo Ilm de jo kItaaboN se Be-Niaaz kare
Wo Aql de ke do Aalam meiN Sarfraaz kare

Mujhey to is se gHarz hai keh Raazi ho Dilbar
Yeh kaam Qais´ kare ya koi Aiyaaz´ kare

**