Hand-Fan

:salam2:

Mein soch raha tha ke is ko kis ne ijaad kiya :hmmm: any idea???

Re: Hand-Fan

jis ney bhi kia… baa acha kam kiya… specially hum Pakistaniyun k liye :halo:

Re: Hand-Fan

^
haan woh to sb ko pata hy pr inventor koun hy :faizy:

Re: Hand-Fan

I think inventor khud kahin betha khud ko pankha jhal raha hoga :p

Re: Hand-Fan

mere daadaa ke maamuuN ke taayaa kii Khaala ke bhai ke poote ke daamaad ne :slight_smile: naam to mujhe pataa nahiiN…shaayad Daddoo Khan rahaa ho :cb:

Re: Hand-Fan

@cutefifa woh inventor female bhi to ho sakti hy :emmy:

@KKF agar DOB bhi likh daalty to pata chal jata ke kab invent howa :smiley:

Re: Hand-Fan

likh detaa bhai magar kia karuuN us waqt 'ilm-e-taareeKhiyaat develop nahiiN huaa thaa :rotfl:

Re: Hand-Fan

^
:cb: pr sitaroon ka ilm “ilm-e-falkiyaat” to moujood tha :smiley:

Re: Hand-Fan

ab is thread mein krna kia hai? :konfused:

Re: Hand-Fan

bas itna pata hai kisi insan ne ijaad kia hai

Re: Hand-Fan

PKtun chalo shabaas jab bijli ho gol to u sb ko is say hawa do :@:

Re: Hand-Fan

arab logoon ne ijad kia yeh pakha, khajoor ke trees ke shakain or pathy le ke

Re: Hand-Fan

apnii baRii baRii tondoN [pot-bellies] ko hawaa dene ke liye? :cb:

Re: Hand-Fan

^
Pr history kehti hy ke yeh to china ki invent hy :)

Re: Hand-Fan


cheen ne sasta maal banaa kar arab bhej diyaa hogaa jahaN par unhoN ne** "Made in Saudia"**** kii mohr lagaa kar bech diyaa hogaa :D**

Re: Hand-Fan

^
china china hy :D

Re: Hand-Fan

jis ne bhi banaya bht bura kia :snooty:

Re: Hand-Fan

**buraa kiuN ji? ab dekheN na k load-shedding/fuel shortages se do baateN ho rahii haiN Pakistan meN…ek to haath kaa pankhaa aam ho rahaa hai aur dusre ghoRaa gaaRiyaaN [tonga/ikka] kii sawaarii saRkoN per nazar aane lagiiN :slight_smile: **

Re: Hand-Fan

her do hrs bad muslasal 2 hr tak uu ko Pankha JHALNA pare to pocho u se :emmy: ^^^

Re: Hand-Fan

lo kar lo gallaaN…are baba, maiN aaj bhii jab India jaataa huN to mere gaaoN meN bjili nahiiN hotii aur maiN pankhe hii jhaltaa huN…saaraa saraa din aur saarii saarii raat aur aksar roof waalaa jhaalardaar pankhaa jiskii rassii paauuN meN phaNsaa kar 2-4 ghanTe tak hilaataa huN…i KNOW all this because i have LIVED thru this to tell you :slight_smile: haha