Hamesha dair ker daita hoon main her kaam kernay main
zarori baat kerni ho , koi waada nibhana ho
usay awaz daini ho , usay wapis bulana ho
Hamesha dair ker daita hoon main her kaam kernay main
madad kerni ho uski , yaar ki dharas bandhani ho
bohat dairina rastoon pay kisi say milnay jana ho
Hamesha dair ker daita hoon main her kaam kernay main
badaltay mausamoon ki sair main dil ko lagana ho
kisi ko yaad kerna ho , kisi ko bhool jana ho
Hamesha dair ker daita hoon main her kaam kernay main
kisi ko maut say pehlay , kisi gham say bachana ho
haqiqat aur thi kuch , us ko ja ker yay batana ho

By
Munir Niazi