LP
1
Hamesha dair kar deta hoon main
Har kaam karnay mein
Zaroori baat kehne ho
Koi wada nibhana ho
Usay aawaz deni ho
Usay wapis bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Madad karni ho us ki
Yaar ke dhaarus bundhana ho
Bohat dayreena rustoon par
Kisi se milne jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Budaltay mausmo ke sair mein
Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho
Kisi ko bhool jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Kisi ko maut se pehlay
Kisi ghum se buchana ho
Haqeeqat aur thi kuch us ko
Jaa kay yah batana ho
Hamesha dair kar deta hoon main
Har kaam karnay mein
Re: Hamesha dair kar deta hoon main
Aap plz HORLICKS piya karein 
LP
3
Re: Hamesha dair kar deta hoon main
ab tou dair ho gaye 
Re: Hamesha dair kar deta hoon main
leyhhh… itna ye cadet college 
wese kehte hein dair aaye darust aaye 
tarash
5
Re: Hamesha dair kar deta hoon main
Hamesha dair kar deta hoon main
Har kaam karnay mein
sust log
LP
6
Re: Hamesha dair kar deta hoon main
I know tarash 
tarash
7
Re: Hamesha dair kar deta hoon main
itni susti achi nahin hoti