**hamesha dair kar deta hoon main
zaruri baat karni ho
koi wada nibhana ho
ussay awaaz deni ho
ussay wapis bulana ho
hamesha dair kar deta hoon main
madad karni ho uss ki
yaar ki dharas bandhani ho
bohat derina raston per
kissi se milnay jana ho
hamesha dair kar deta hoon main
badaltay mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kissi ko yaad rakhna ho
kissi ko bhool jana ho
hamesha dair kar deta hoon main
kissi ko maut se pehlay
kissi gham se bachana ho
haqeeqat aur thi kuch
uss ko ja k ye batana ho
hamesha dair kar deta hoon main**