Hamesha dair kar daita hooN meiN har kaam karnay meiN
zaroori baat kehni hou, koi wa’ada nibhaana hou
usay aawaaz daini hou, usay waapis bulaana hou
hamesha dair kar daita hooN meiN
madad karni hou uss ki, yaar ki dhaaras bandhaani hou
bohat hi duur rastoN par kisi say milney jaana hou
hamesha dair kar daita hooN meiN
badaltay mausamoN ki sair meiN dil kou lagaana hou
kisi kou yaad rakhna hou kisi kou bhool jaanaa hou
hamesha dair kar daita hooN meiN
kisi kou mout say pehle kisi gham say bachaana hou
haqeeqat aur thi kuch, uss kou jaa kay yeh bataanaa hou
hamesha dair kar daita hooN meiN har kaam karnay meiN
**
(MUNIR NIAZI)**