Hamen Chahiye tha milna kisi ehd e mehrbaan main

Yeh Haseen Sham Apni
Abhi Jis Main Ghul Rahee Hay
Tiray Peyrahan ki khushboo
Abhi Jis Main Khil Rahay Hain
Mairay Khuwab Kay Shagoofay
Zara Dair ka hai manzar

Zara dair Main Ufaq Par
Khilay Ga Koi Sitara
Tairee Simt Daikh Kar Woh
Karay Ga Koi Ishara
Tairay Dil Ko Aay Ga Phir
Kissi Yaad Ka Bulawa

Koee Qissa e Judaee, Koi Kaar e Namukammal
Koee Khwab e Naashaguftaa, Koi Baat Kehnay Walee

Kisi aur aadmi se
Hamain Chahye Tha Milnaa
Kissi Ehd e Meharbaa’n Main
Kissi Khuwab Kay Yaqee’n Main
Kissi Aor Aasmaa’n Main
Kissi Aor Sar zamee’n Main
Hamay Chahye Tha Milnaa…

Hamen Chahiye tha milna kisi ehd e mehrbaan main

Kisi aur aadmi se
Hamain Chahye Tha Milnaa
Kissi Ehd e Meharbaa’n Main
Kissi Khuwab Kay Yaqee’n Main
Kissi Aor Aasmaa’n Main
Kissi Aor Sar zamee’n Main
Hamay Chahye Tha Milnaa…

:hmmm:

Re: Hamen Chahiye tha milna kisi ehd e mehrbaan main

kia soch rahi hain aap? zaroori nahin jo pehli dastak aap ke dil per ho... wo aap ke liye sahi ho... ya phir kabhi kabhi sahi aadmi ghalat waqt aur jaga milta hai

Hamen Chahiye tha milna kisi ehd e mehrbaan main

Jee bilkul.

Re: Hamen Chahiye tha milna kisi ehd e mehrbaan main

nice :crying:

Re: Hamen Chahiye tha milna kisi ehd e mehrbaan main

hmm.....Hamay Chahye Tha Milnaa…

Re: Hamen Chahiye tha milna kisi ehd e mehrbaan main

:k: