Hameesha deir kar deata hun

Hameesha deir kar deata hun mein har kam karnay mein
zarori baat kehni ho koi waada nibhana hu
ussay aawaz deani ho ussay wapas bullana hu
hameasha deir kar deata hun
madad karni hu uss ki, Yar ki dharis bandhana hu
bohat daerena raston par kissi say millnay jana hu
hamesha deir kar deata hun
badaltay mosmon ki yad mein dill ko lagana hu
kissi ko yad rakhna hu kissi ko bhool jana hu
hameasha deir kar deata hun
kissi ko maut say pehlay kissi gham say bachna hu
haqeqat aur thi kuch uss ko ja kar yeh batana hu
hameasha deir kar deata hon mein har kam karany mein
**
By Muneer Niazi

Re: Hameesha deir kar deata hun

kiya baat hay janab... aik aur gr8 Nazam
.
.
Same comments for it as "Mujhay tum say mobhabbat hay"

Keep it up

Re: Hameesha deir kar deata hun

lo jee itna sa masla hai appik watch le lein …phir ap nahi klahein k hamesha dairkar deta hoonmein…hehehhe…khair veryy nicee :slight_smile:

Re: Hameesha deir kar deata hun

LOL what can i say now , i am glad you like it

Re: Hameesha deir kar deata hun

thanx for the mashwara but i think yeh mashwara Muneer Niazi ko deena chahiay
aur who bhi jaldi kahein phir say deir na ho jaay LOL:D

Re: Hameesha deir kar deata hun

arey tu app de dein na ..jaldi waqyi kahin phir say dair na hojaye… :slight_smile:

Re: Hameesha deir kar deata hun

who shaid pak mein hein aur mein pak mein nahi hon
agar tu mein deanay gai tu phir waqia hi deir ho jaay gi LOL
and we dont want that do we :D

Re: Hameesha deir kar deata hun

shaid ka lafz istemal kiya hai jaldi say sahi sahi in4mation dein nahi tu dair ho jaye ki...

Re: Hameesha deir kar deata hun

Bohat arsay bad ye nazam parhi
aur bohat acha laga.

Re: Hameesha deir kar deata hun

Very nice… thanks for sharing the beauty :flower1:

Re: Hameesha deir kar deata hun

Mujhay aisa kiyon lagta hay k aap dono ko already dair ho chukki hay...

Re: Hameesha deir kar deata hun

meaning:confused:
kahin who…

Re: Hameesha deir kar deata hun

buri baat aisa nahee sochtey:eek: