Hamdia and Natia Kalam and Ashaars

hello folks,

Can you guys post your favourite Hamdia /Natia ashars and Kalam, please. Lets make it a sticky for the month of Ramzan.

Tere ishq di daulat mil jaway duniya di daulat ki karni
Tere dar di gadaee mil jaway kisi hor di naukri ki karni
Ikko aarzoo mere seene wich maraan jevaan shehar Madinay wich
Banay Madinay wich qabar meri kithay hor di turbat ki karni ...

~~~~~~~~~~~~~~~~~*~

Koi saleeqah hai aarzoo ka na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai
kisi ka ehsaan kioN uthaeiN, kisi ko halaat kioN bataeiN
tumhi se mangeiN ge tum hi do ge, tumhare dar se hi lo lagi hai
amal ki mere asaas kya hai, bajuz nidaamat ke paas kya hai
rahe salaamat bas un ki nisbat mera to bas aasara yahi hai
ata kiya mujh ko drd-e-ulfat, kahaN thi poor-khata ki qismat
meiN is karam ke kahN tha qabil, hazoor ki banadh parwari hai
tajaliyooN ke kafeel tum ho muraad-e-qalb-e-khaleel tum ho
khuda ki roshan daleel tum ho, yeh sab tumhari hi roshani hai
basheer kahiye, nazeer kahiye inheiN siraaj-e-muneer kahiye
jo sar basar hai kalam-e-Rabbi, woh mere aaQa ki zindagi hai
yahi hai Khalid aasaas-e-rehmat yahi hai Khalid bina-e-rahmat
Nabi ka arfaan zindagi hai Nabi ka arfaan bandagi hai

Marhaba sad Marhaba ... Phir Aamad-e-Ramzaan hai ...
**
Marhaba sad marhaba phir aamad-e-ramzaan hai
Khil uthay murjhaye dil taaza huwa emaan hai
Hum gunhegaroon pe yeh kitna bara ehsaan hai
Ya Khuda (Azzawajal) tu ne ata phir kar diya Ramzan hai
Tujh pe sadqay jaon Ramzan, tu azeem-ushaan hai
Ke Khuda (Azzawajal) ne tujh mein hi nazil kiya Quraan hai
Abar-e-rehmat chaa gaya hai aur samaa hai noor noor
Fazal-e-Rab (Azzawajal) se maghfirat ka hogaya samaan hai
Har ghari rehmat bhari hai har taraf hain barkattain
Maah-e-Ramzaan rehmatoon aur barkatoon ki kaan hai
Aa gya Ramzaan ibaadat per kamar ab bandh lo
Faiz le lo jald ke din tees (30) ka mehmaan hai
Ya Illahi (Azzawajal) tu madenay mein kabhi Ramzaan dikha
Mudatton se dil mein yeh 'Attar' ke armaan hai ...**

Nice.. Bohat achey! :k:

ok here is my contribution .. her sher bohut khoobsorate say likha gaya hai aur jis jis na yeh naatein pahre hai unke awaz na naaton ko chaar chand laga diyaya hian .. love all these naats .. really beautifull .. MashAllah .. if there is any mistake in words plz plz plz correct it and leeme know .. its a request .. :slight_smile: ..

if you want to listen one of the naats i’m going to post or want to listen any other naat you must check this thread by irem appi .. most of the contribution is by sherni and irem api .. really beautiful thread .. MashAllah .. :flower1: ..

http://www.gupistan.com/forums/showthread.php?goto=newpost&threadid=156375

Zahay muqadar hazor-e-haq say salam aya pyam aya
Cohkaoon nazrein pechaoon palkein adab ka ala maqam aya

Yeh kon sar say kafan lapatay chala hai ulfat kay rastay per
Faristay hairta say tak rahay hain yeh kon zahay ahtram aya

Faza mein labaik ke sadian za frsh taa’n arsh gonjte hain
Her aik qurban ho raha hia zuban yeh kis ka naam aya ..

Yeh rah-e-haq hai samhal kay chalna yahan hai manzil qadam qadam per
Pohnchan dar per to kehna AqA salam lehjeyaya gulaam aya ..

Yeh kehna AqA bohut say asihq tarptay say chor aya hoon main
Bulaway kay muntazir hain lakin na subho aya na shaam aya

Duaa jo nikle thee dil say akhir palat kay maqbool ho kay aye
Who jazba jis mein tarpte her cheez who jazba akhir ko kaam aya ..

Khuda tera haifz-o-nigeh baa’n who raahein bata ka janay walay
Nabed say sad embasta ban kar payam-e-dar-o-slaam aya ..

JazakAllah .. :flower1: ..

Faslon ko taqulf hai hum say magar hum bhi be-baas nahi be-sahar nahi Khud unhe ko pukarein gay hum door say rasaatay mein paoon tahk jayein ga..

Hum madinay mein tanha nikal jayein ga aur galion mein qasdan bahtak jayein ga
Hum wahan jaa kay wapass nahi ayay ga dohntay dohntay loog tahk jayaein ga ..

Jesay he sabz Gomband nazar aya ga bandage ka qarena badal jayaya ga
Sar johkanay k fursat milay ge kesay khud he palkon say sajdein tapak jayein ga ..

Na m-e-Aqa jahan bhi liya jayay ga zikar unka jahan bhi kia jayaya ga
Noor he noor sennon mein bahr jayay ga sare mehfil mein jalway lapak jayein ga ..

Aa madina kay zair khuda k liye dasten-e-safar mujh ko yohn na suna
Baat bahr jyaya gee dil tarp jayay ga meray muhtatt aanso jahlk jayein ga ..

Unke chasm-e-karm ko hai iske khabar kis musafir ko hai kitna shoq-e-safar
Hum ko ek baal jub bhi ijazat mile hum bhi aka kay darbar tak jayay ga ..

JazakAllah .. :flower1: ..

na kaleem ka tasvar na khail-e-toor-e-sena ..
mere arzo Mohammad PBUH mere justajo Madina ..

Mein gada-e-Mustafa hoon mere azmatein na pohcho
Mujhe dekh kar jahnum ko bhi aa gaya hai pasena ..

Mujhe dushmano na charon mera hai koi jahan mein
Mein abhi pukar loo gee nahi door hai madina ..

Mein marez-e-Mustafa hoon mujhe cho kay kia karo ga
Mere zindage jo chahho mujhe lay chalo madina ..

Meray dobnay mein baqe na koi kame rahe thee
Kaha al-madad Mohammad PBUH to ubher gaya safena ..

Siway iskay meray Dil mein koi arzo nahi hai
Mujhe mout bhi jo ayay tu ho samnay madina ..

JazakAllah .. :flower1: ..

Koi saliq hai arzo ka Na bandge mere bandage hai Yeh sub tumhara karm hai Aqa Kay baat ab tak bane hoe hai ..

Kese ka ehssaan kion uthein Kese ko halaat kion baatein
Tumhe say mangein gayein tumhe do gayay Tumharay dar say he loO lage hai ..

Ata kia mujhko dard-e-ulfat Kaha thee is purkata k qismat
Mein is karam ka kahan tha qabil Hazoor ke banda-parvare hai ..

Shaoor-o-fiqr-o-nazar kay davay Had say unke kabhi pahr na paein
Na choh sakya un balandion ko Jahan maqam-e-Mohamade hai ..

Tajlion kay kafil tum ho Murad-e-kabil-e-kalil tum ho
Khuda ke rohsan dalil tum ho Yeh sub tumhare he roshni hai ..

Bashir kahay nazir kahiay Unhein siraj-e-muneer kahiay
Jo sar-ba-sar hai kalaam-e-rabE who meray aqa k zindage hai ..

amal ke meray asas kia hai bajuz nadamat k paas kia hai
rahay salamat Tumhare nisbat mera tu ek isra yahee hai ..

hai qaba bhi marj-e-kalaik bohut numay hai yeh haqiaq
magar jo maqsod-e-hazre hai hazor kay dar k hazre hai ..

yehe Hain kalid ehssaas-e-rehmat yahee hai kalid bin-e-azmat
Nabe ka irfaan zindage hai, Nabe ka irfaan bandegae hai ..

SubhanAllah .. :flower1: .. JazakAllah ..

jazakAllah u all

tarikh agar dhondhagy sani e Muhammad
sani to bari chees hay saya na milay ga

Es thread mai sab log qabil-esatish hain mashallah :subhan::flower1:

Jazakallah :flower2: