Hamd !

**Yeh dharti falak sab nizaarey tirey hain **
Darya , samundar , kinarey tirey hain

Asmanon key beech our Baalay_e_khaak
Zere_e_aab bhi sab shumaarey tirey hain

Har shay mein posheeda tiri zaat hai
Hikmat sey hi Fun Paarey tirey hain

Shaam_o_Sehar bey waja nahi hain
Mudalel hain yeh keh Ishaarey tirey hain

Sab kuch hai Faani tiri Zaat Daaim
Yeh khalqat teri istiaarey tirey hain

Yeh rishtey , yeh bandhan tiri dein Moula
Zamaney mein Mujh ko saharey tirey hain

by : Mazhar

Re: Hamd !

nice one mazhar keep it up :)

Re: Hamd !

Good one :k:

Re: Hamd !

JazakAllah ..... shukria