[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
MaiN shajar hooN Shehr-e-Malaal kaa, Meri TehniyouN ko Nihaal kar
Kabhi Bhej apni nawaazishaiN, kissi jaam-e-ab'r maiN daal kar
Mujhay khaar khaar MusaafatouN kee sitam gari nay thakaa diyaa
Mujhay manzilouN kaa suraagh day, Mairay HoslouN ko bahaal kar
Mairay bay jawaaz wujood par teri RehmatouN kaa jawaaz hai
Woh nadaamataiN jinhaiN aaNkh maiN kabhi rakh liya saNbhaal kar
Haray MausamouN kay naqoosh tau meri loh-e-zehn say miT chalay
Yeh jo zard rut kay haiN silsilay, ab inhaiN bhee khuaab-O-khiyaal kar
[/QUOTE]
Subhan Allah...
"Mairay bay jawaaz wujood par teri RehmatouN kaa jawaaz hai"