Lamhay
December 24, 2002, 9:15am
1
Meri Ankhon Mein Tum Jo Sapne Sajja Rahay Ho
Log hathoon Mein Dekho Patthar Uttha Rahay Hain
Mere Mehboob Bahut Nadaan Hai Chahat Tumhari
Taqdeer Ke Zalzale Hamari Taraf Aaa Rahe Hain
Dosto Ki Bheer Lagi Rehti Thee Charo Taraf
Aab Dost Bhi Sabi Dusman Nazar Aaa Rahe Hain
Gulshan Bhi Muskra Uthte The Hume Dekh Kar
Aab Gul Sabi Bahar Mein Kaise Murjja Rahe Hain
Humay Kadam Se Kadam Mila Kar Chalta Dekh Key
Raaste Saare Kio Aur Ulhjte Hi Jaa Rahe Hain
Jab Aa Puhche Hai Kareeb Apni Manzil Ke Hum
Hamari Kismat Ke Faisalay Badltey Ja Rahe Hain!
Dilsay
December 24, 2002, 9:26am
2
Re: Hamari Kismat Key Faisaley Badltey Ja Rahay hain!
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Meri Ankhon Mein Tum Jo Sapne Sajja Rahay Ho
Log hathoon Mein Dekho Patthar Uttha Rahay Hain
Mere Mehboob Bahut Nadaan Hai Chahat Tumhari
Taqdeer Ke Zalzale Hamari Taraf Aaa Rahe Hain
Dosto Ki Bheer Lagi Rehti Thee Charo Taraf
Aab Dost Bhi Sabi Dusman Nazar Aaa Rahe Hain
Gulshan Bhi Muskra Uthte The Hume Dekh Kar
Aab Gul Sabi Bahar Mein Kaise Murjja Rahe Hain
Humay Kadam Se Kadam Mila Kar Chalta Dekh Key
Raaste Saare Kio Aur Ulhjte Hi Jaa Rahe Hain
*Jab Aa Puhche Hai Kareeb Apni Manzil Ke Hum
Hamari Kismat Ke Faisalay Badltey Ja Rahe Hain! *
[/QUOTE]
Kiya baat hai.... jaab dil say likha jaya tu ya he hoota hai.... Great
Lamhay
December 24, 2002, 10:08am
3
Re: Re: Hamari Kismat Key Faisaley Badltey Ja Rahay hain!
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Kiya baat hai.... jaab dil say likha jaya tu ya he hoota hai.... Great
[/QUOTE]
nawazish dil say ji
kiya hota hai by the way ??
wabasta meri yaad sey kuch talkhiyaan bhi theen
acha kiya jo mujh ko farmosh kardiya!
Dilsay
December 24, 2002, 12:50pm
4
Re: Re: Re: Hamari Kismat Key Faisaley Badltey Ja Rahay hain!
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
nawazish dil say ji
kiya hota hai by the way ??
wabasta meri yaad sey kuch talkhiyaan bhi theen
acha kiya jo mujh ko farmosh kardiya!
[/QUOTE]
Dil wo hai jo khud say jhoot nahi bolta... aur jo behi dil say likhay jaya ga sach he hoo ga... Hum nay tu us ke khushi kee khatari dil ko behi majboor kiya ka jhoot bolay.... Koyee kiya samjahay ga hamaray dill ka dard.....
*Ya dill ka roog ya chahat khuda kisi ko na day
Buri bala hai mohabat khuda kisi koo na day *