***kahiN to kaaRvaan-e-dard ki manzil Thahar jaaye ***
***kinaaRe aa lagey umr-e-ravaaN yaa dil Thahar jaaye ***
***amaa’N kaisi ki mauj-e-KhuuN abhi sar se nahiN guzri ***
***guzaR jaaye to shaayad baazuu-e-qaatil Thahar jaaye ***
***ko_i dam baadbaaN-e-kashti-e-sahabaa ko tah rakho ***
***zaRaa Thahro Gubaar-e-Khaatir-e-mahafil Thahar jaaye ***
***hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai ***
***ye tuufaa’N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye ***
***nigaah-e-muntaziR kab tak karegii aa_iinaaba.ndi ***
***kahiN to dasht-e-Gam meiN yaaR ka mahamil Thahar jaaye ***
Amal
2
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
NikamiJi chun kar laati heiN aap ghazleiN
k: … Hamaarey saath share karne ke leeye shukriya 
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
Do I need to say nice? it is shared by Nikami Jee to its obvius.. :)
btw.. its beautiful..
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
beautiful 
SJ
5
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
**hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaa'N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye **
Bohat khoob sis.......
its a beautiful ghazal........
:)
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
Buhat aaalaaaa 
aaj kal Intikhaab main behtreen inthikhaab parhnay ko mil raha hai 
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
aj kal Nikami jo educated honay ki koshish kar rehi :p,thanks for liking
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
v nice jano g:)
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
aray wah.kun kehta hai ap Nikami ho :P ap ke poetry dek kar lagta hai ap bohoot mehnat karti ho achi achi poetry find karnay main :)
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
aray wah.kun kehta hai ap Nikami ho :P ap ke poetry dek kar lagta hai ap bohoot mehnat karti ho achi achi poetry find karnay main :)
Koyal ka pecha choR dee'ya kai jo aj akl nikami k tread maiN :p
thanks ...mehnat nahi karti wesay he nazal ho jatyi :P
Amal
11
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
Wah kya baat hey…hameiN to aaj tak kisi ney aesey compliments nahi deeye … haalaaNke,… “umr guzri hey is dasht ki saiyaahi meiN…” 
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
Value hai Na 
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
**hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai **
**ye tuufaa'N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye **
Bohat khoob sis.......
its a beautiful ghazal........
:)
thanks sonia g :)
Re: hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
tahsk so much red
blush: