***
Tumhein yaad hai naa
Hamari aakhri mulakaat ki raat
Aankhoon se barasti barsaat ki raat
Mein ne tum se kaha thaa
Juda tum se ho ke
Jee to loongi lekin
Gar tumhari ijaazat ho tu
Tumhari yaadoon ka sahara chaheyey mujhko
Tumhein yaad hai na
Mein ne tum se kaha thaa
Ek yeh hi aasra chaheyey mujh ko
Magar Janaan
Yeh kya kiya tum ne
Apni yadoon ko cheen liya tum ne
Mujh se mere jeenay ka
Aakhri sahaara cheen liya tum ne
Ab kya karoon Janaan
Ke ab zinda reh nahe sakti
Mazeed dard seh nahe sakti
Apne bardasht ki hadoon ko cho rahi hoon mein
Zindagi se ab bichar rahi hoon mein
Apna wada poora kar rahi hoon mein
Tumhein yaad hai na
Woh aakhri mulakaat ki raat
Yehi kaha thaa na tum ne ...
Bohat khoob.:k:
Wah… :k: ![]()
very nice…:k:
Buhat khoob
weldone
Thank you ... Aryaan, GS, reet, Diva and Kamal for your visit and appreciating my selection ...