hamare saamne kuch gham ke qafle guzre
phir iss ke baad issi raaste se hum guzre
rang chaman ura ura chehra gul bujha bujha
abb ke yunhi guzar gaya qafla bahar ka
abb tak utarte hain wahan khushboo ke qafle
bhoole se jis jaga likh diya tha tumhara naam
taher gaye hain qafle kahan mohabbat ke
har aik raah guzar sog-war hai saaqi
qafle barh ke usse lae hain manzil ke qareeb
rah guzar per jo mere naksh-e-qadam ne likha
ik ik ker ke khud se bicharne lage hain hum
dekho to ja ke qafle salaar koun hai
raaston ne manzil ke kitne khuwab dekhe hain
qaflon ki khuwaishon mein aik woh hi maskan the
iss anbaren ki zulf pareshan ko dekh ker
be-taab ho gaye hain chanaron ke qafle