hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

***kahaN ye bass meiN k hum khud ko kosla detay
yahi buhat tha k haR ghum pe muskuRa detay

hawa ki dooRr ulajti Jo ungliyun say kabi
hum aasmaaN pe teRa naam tak saja detay***

***hamaRey aks mein hoti Jo zakhm dil ki jalak.
hum aai’ney ko bhi apni taRha rulaa detay

humein bhi roshin’ion paR Jo dastaRas hoti
kabi chiragh jalatey kabhi bhujaa detay

hamaRay paa’oon hawa’oN Ki zadh meiN thay waRna
guzaRti umeR ko rukk rukk kaR sadaa detay

ab uski yaad say uska badaN tarashtey heiN
wo khuwaab bhi tu nahe tha k hum bhula detay***

Re: hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

What a well written ghazal, kahan say lati hain yeh moti chun chun ker...

I love the quoted shair.. buhat khoob!

Re: hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

thanks fara moti ruby jewlers se laiti :p

Re: hamaRay paa’oon hawa’oN Ki zadh meiN thay waRna

Wa’qaei is ghazal ka aek, aek sheir kamaal ka hey. Bohat khoobsoorat ghazal hey :lajawab: … bohat shukriya Koyal ji :slight_smile:

Re: hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

buhat umdaa ghazal

Re: hamaRay paa’oon hawa’oN Ki zadh meiN thay waRna

Very nice ghazal :k:

Re: hamaRay paa’oon hawa’oN Ki zadh meiN thay waRna

thanks Amal Koyal ne soocha thoRa gazal b post kaR dai nazmooN se ap ka dil bhaR gaya :stuck_out_tongue:

Re: hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

thanks desi aa'tma :)

Re: hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

Ruby Jewellers... lol, acha woh abhi tuk zinda haiN?

Re: hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

hana na ab tu uno ne taRaqi kaR le auR shop b suna hai open kaR le :)

Re: hamaRay paa'oon hawa'oN Ki zadh meiN thay waRna

Bohat Khoob Koyal..:)