in Roman Urdu now for your benefit.
Reason Im typing this piece out is because its the shortest worthwhile piece I could find. What I really like are his short stories lekin no way am I writing that out !
Anyway.. enjoy
.
Hamaray Janwar
Bheins
Bheins moti aur khush taba hoti hay.
Bheinson ki qismein nahi hotin. Woh sab ek jaisi hotin hein. Bheins ka wujood buhat say insanon kay liay ba’isay musarrat hay. Aise logon ki zindagi may bheins kay ilawa musrratein bus gini ginayi hotin hein.
Bheins ka hum usr chopaya gaye dunya bhar may mojood hay lekin bheins ka fakhar sirf humein hi naseeb hay. tibet may gaye kay wazan par sira gaye milti hay. magar bheins kahin nahi hoti.
Jughrafiadaan kehte hein kay afreeqa may bheins say milti julti koi chiz, Bison hoti hay. Magar woh doodh nahi deti. Jughrafiadaan itna nahi samajhte kay jo chiz duudh na day woh bhala bheins jaisi kyu kar ho sakti hay.
Ye nahi kaha ja sakta kay bheins itni hi bewaquf kay jitni dikhayi deti hay ya iss say ziada. Kia bheinsein ek dusrey say muhabbat kartin hein? Ghaliban nahi. Muhabbat andhi hoti hay magar itni andhi nahi.
Bheins kay bachay shakal aur surat may naniyaal aur dadiyaal donon par jatay hein. lihaaza fariqein ek doosre par tanqeed nahin kar sakte.
Bheins say hamari muhabbat buhat purani hay. Bheins hamaray bagher reh lay lekin hum bheins kay bagher ek din nahi reh sakte. Aaj kal ye shikayat aam hay kay logon ko kothi milti hay to aisi jis may garage tak nahi hota jahan bheins bandhi ja sakay.
Jis ghar may bheins ho (aur bheins kahan nahi hay) wahan andurun haweli sab kay sab bheins kay chikne auntey huey duudh kay lambe lambe glass charhatay hein. phir khumaar charhta hay kainaat aur uska khel be-ma’ni maluum honay lagta hay aur ek aur dunya kay khwab nazar atay hein. Reh gayi ye dunya, so ye dunya to maya hay maya!
Kaii bheinsein itni bhaddi nahi hotin, magar kuch hotin hein. duur say ye pata chalana mushkil ho jata hay key bheins idhar aa rahi hay ya us taraf ja rahi hey. rukh-e-roshan kay agay sham’a rakh kar woh ye kehte hein … wala sher yaad ata hay.
Bheins ka mashghala jugaali karna hey ya talaab may letay rehna hay. Woh aksar nim baaz ankhon say ufaq ko takti rehti hey. Loge qiyas araiyan karte hein kay woh kia sochti hey. Woh kuch nahi sochti. Agar bheins soch sakti to rona kis baat ka tha.
Darwin ki theory kay mutabiq sadiyon say har janwar koshish mey hay kay apne aap ko behtar bana sakay. yahan tak kay bandar insaan ban gaye aur bheins nay mehez susti ki wajah say is tak-o-do may hissa nahi lia. ab kuch nahi ho sakta. irtiqayi dor khatam ho chuka hay kyu kay insaan bilkul nahi sudhar raha. bheins ye sab na jaanti hay na jaanna chahti hay. agar mahirien issay naqshon aur tasviron ki madad say samjhana chahein tab bhi besood ho ga.
Bheins ka hafiza kamzor hay. usay kal ki baat aaj yaad nahi rehti. Is lihaz say woh insan say ziada khush nasib hay.
Agar bheins ki kamr mey pathar ya lath aa lagay to pichay mur kar nahi dekhti. zara si khaal hila deti hay bus!.. isay falsafa e adam tashaddud kehte hen.
bheinsay ko bilkul nikamma samjha jata hay. isay hal may jotne ki scheme nakamiyab saabit hui kyu kay woh daaimi tore par thaka hua aur azali sust hay… usne bachpan may bheins ka duudh pia tha.
kabhi kabhi bheinsa chehre ki jhuriyon ko dekh kar chonk uthta hay. aur seena kata kar katton may shamil ho jata hay. lekin ye harkat kon nahi karta?
Bheins kay samney been bajayein to natija tasalli bakhsh nahi nikalta. Bheins ko been say koi dilchaspi nahi hay.
Kabhi kabhi mujhe par mood atay hein jab may jab may gaye bakray ko bheins jaisa samajhne lagta huun.