EEMAAN
1
Kaisay kahain key jaan say piyara nahi raha
Ye aur baat ab wo hamara nahi raha
Ansoo teray bhi khushk howay aur mairay bhi
Nam ab kisi nadi ka kinara nahi raha
Kuch din tumharay lout kay anay ki aas thee
Ab is umeed ka bhi sahara nahi raha
Rastay mein wo najoom kay tabdeel ho gaye
In khirkion mein aik bhi tara nahi raha
Samjhay thay doosron say bohat mukhtalif tujhay
Kiya maan lain kay to bhi hamara nahi raha ?
Hathoon pe bujh gayee hai muqadar ki kehkashan
Ya rakh ho giya wo sitara nahi raha
Tum AITABAR us kay liay kion udaas ho
Ik shakhs jo kabhi bhi tumhara nahi raha
Re: Hamara nahe raha
Tum AITABAR us kay liay kion udaas ho
Ik shakhs jo kabhi bhi tumhara nahi raha
,khobbb
EEMAAN
3
Re: Hamara nahe raha
jee sahee :(
reet
4
Re: Hamara nahe raha
bahot khoobb........thnx for sharing.....!
Zamil
5
Re: Hamara nahe raha
Aaitbaar Sajid…!!! Wah wa
thanx for sharing… :k:
Re: Hamara nahe raha
nice participation...................................
kehtay thay k sath jiye sath marain gay
**hum dono reh gaye hain tu wada nahi raha:) **