Hum apna takht-o-taj wappis pa kar rahein ge.Hum is zalimana karvai ko nahi manatay.Hum kal bhi baadshah the aur aaj bhi hain:mad:
Yeh mulk hamaray abao-o-ajdad ke mehnat ka silha hai jis hum yun farangiyoon ke haath main nahi janay dein ge
hum akhri saans tak lartay rahein ge.GhupShup hamara mulk hai ..hamara ghar hai.
Hum mutalba kartay hain keh keh Shehanshah-e-GS yani humein bahaal kiya jae:shikra:Humein ek baar pehlay bhi ziad karnay ke sazish ke gai the aaj phir ke ja rahe hai.
shikast hum mantay nahi aur azaadi hum sab ka haq hai:jhanda:
Badsha salamat …errr…wait, ab mujhe aapko salute karney ki zaroorat nahi kyon k aap jail mein hain. Aksar log jail mein aa kar pagal ho jaatey hain, aap pahley shakhs nahi hain Aap ko mein aik mashwara deta hoon. Aapko chahiye k aap jail mein apney faarigh waqt mein apni zindagi par mabni aik kitaab shaya karein Isi bahaney jail mein time bhi acha katt jaye gaa.
Mein aapko jaanta hoon, aap wahi hain jo iss apni kursi par ishaara karing kursi par betha kartey they. Aur aaj aap zanjeeron mein jakar kar kaali kothri mein daal diye gaye hain. Mein abhi bhi aap ki izzat karta hoon, tabhi aapki kaali kothri mein meney bijli lagwaney ka hukam jaari kar diya hai.
:aq: ehsaan faramosh , ghaddar:o aaj itni jurrat o gai keh Badshah ke samnay zubaan chalae?
Yeh zanjeerein kya cheez hain , humara to khud folad ka jism hai.mintoon main is zanjeeron ko toor dein ge.
:o humein in ko tornay par majboor na kee jiye nahi to baad main aap hi pachtaein ge:snooty:
Aur aapko faulaadi jism? Badshah salamat, rassi jal gayi magar ball nahi gaya :nono: Jaanta hoon aap abhi jhatkey mein hain aur apni nayi jagah tasleem karney sey inkaar kar rahey hain, lekin fikar na karein, aapko yahan har qism ki sahoolat muhaiyya kee jaye gee, aap hamarey khaas mehmaan hain
**Shikra **sarkaar.. Shikra sarkaar..!!
ghazab ho gaya..!!
Flooder-e-aazam kali kothri main kadha kar keh bhaag niklay..!
par aap fikar na karain.. hum nay peehcay unki kaneezoun ko laga diya hai ye keh kar keh Flooder-e-azam sab kaneezoun ke liye TV aur fridge lene gaye hain.
Ab sari 200 kaneezain dhound rahee hain.. apni apni choice batanay keh liye :halo:
farar honay main madad ka shukriya saheb..aap ne sabit kar diya ke aap gadhay nahi hain
hum aap ko jald hi enaam say nawazein ge.bas ek kaam yeh kar dee jiye ke shikra ki wardi phaar deejiye.ek dafa unki wardi phat gai to un ke hukumat bhi khatam hi gae ge:shikra: