Hamara kya hai kay hum to chiragh-e-shab ki tarah

Hamara kya hai kay hum to chiragh-e-shab ki tarah
Agar jalay bhi to bas itni roshni hogi
Kay jaise tund andheron ki raah mein jugnu
Zara si der ko chamke, chamak ke kho jaaye
Phir is kay baad kisi ko na kuch sujhaaee day
Na shab katay na suragh-e-sahar dikhaee day
Humara kya hai ke hum to pas-e-ghubaar-e-safar
Agar chale bhi to bas itni raah tay hogi
Kay tez hawaaon main zard maa_ill naqsh-e-qadam
Zara si dair ko ubhre ubhar ke mit jaaye
Phir us ke baad na raasta na rah_guzaar milay
Hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay
Humari simt na dekho ke koi der mein hum
Qabila-e-dil-o-jaan chor jaanay walay hain
Basay basaaye huay shahar apni aankhon kay
Misal-e-khana-e-weeraa’n ujarnay walay hain
Hawa ka shor yehi hai to dekhtay rahna
Hamari umr kay khaimain ukharnay walay hain

Re: Hamara kya hai kay hum to chiragh-e-shab ki tarah

nice :k:

Re: Hamara kya hai kay hum to chiragh-e-shab ki tarah

very nice :k:

Re: Hamara kya hai kay hum to chiragh-e-shab ki tarah

welldone great job vbery nice.

Re: Hamara kya hai kay hum to chiragh-e-shab ki tarah

excellent :):k:

Re: Hamara kya hai kay hum to chiragh-e-shab ki tarah

:)