**Hamara ishq saheefa thaa jal gaya kaesey
Wafaa ka darss dilooN sey nikal gaya kasey
Mere khuloos ka mujh sey kharaaj ley leta
Wo mera yaar tha dushman sey mil gaya kasey
Wo chand ban key chamakta hamari raaton mein
Muhabbaton ka wa sooraj tha dhall gaya kasey
Sharaab pi thee muhabbat ki ik saraahi sey
Mein larkharaata raha tu sanbhal gaya kasey
Hisaar toot gaya kis tarha muhabbat ka
Talsum tujh pey zamaaney ka chal gaya kasey
Bharey jahaan mein tanhaa mein ho gaya tariq
Tu mujh sey aankh mila kar badal gaya kasey……**
Taken fron “Tumharey Qurb key mausam” of the great poet “Tariq Iqbal” of Bahrain.