Hamaisha Hai Wasl-o-Judai ka Dhanda

Hamaisha Hai Wasl-o-Judai ka Dhanda,

Button Ki Hai Ulfat Khudaai Ka Dhanda

Agar BaiThay Rindon Ki Sohbat Main Zahid

To Dain Chor Sab Paarsai Ka Dhanda

Jo Hona Hai Aakhir Wo Ho Kar Rahay Ga

Karay Kon BaKht-Aazmai Ka Dhanda

ParaishaN Rahi Umar Bhar Par Na Chora

Teri Zulf Nay Kajj-Adai Ka Dhanda

Mubarak Raa’ison Ko Kaar-e-Riyasat

Gada Ko Hai Kaafi Gadaai Ka Dhanda

Nahin Khizar K Peechay Gar Aur Jhagray

To Hai Saath Ik Raahnumai Ka Dhanda

Zafar Is Say Behtar Hai Na-Aashanaai

K Mushkil Hai Ye Aashanaai Ka Dhanda…!!

                  Khawab.Rung

Re: Hamaisha Hai Wasl-o-Judai ka Dhanda

:k:

Re: Hamaisha Hai Wasl-o-Judai ka Dhanda

Nice :)