Hamesha der kardeta hon me har kaam karnay main
Zarori baat kehni ho koi waada nibhana ho
Ussay awaaz deni ho ussay wapis bulana ho
Hamesha der kardaita hoon main
Madad karni ho uss ki, yaar ki dharas bandhana ho
Buhar dereena raston pe kisi say milnay jana ho
Hmaesha der kardeta hoon main
Badaltay mausmon ki sair me dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jana ho
Hamesha der kardeta hoon main
Kisi ko maut say pehlay kisi ghum say bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch uss ko ja k yeh batana ho
HAMESHA DER KARDETA HOON MAIN HAR KAAM KARNAY MAIN…